Wednesday 5 September 2007

Jab tum nahi hote!

Kanhan ki shaam aur kaisi subah jab tum nahi hote…

Tadapta hai yeh dil aatthon pahar jab tum nahi hote…

Kali, gul, mahek, kirney,chand sitarey,chandani shabnam

Sabhi to nazar pher lete hai jab tum nahi hote…..

Mere ehsaas ki nas- nas mein jum jata hai paara sa

Nahi rahti hai mujhe kuchch bhi khabar jab tum nahi hote…

Phool,kitaab, kagaz , kalam khat padhe rahte hai

Yun hi mez par jab tum nahi hote ho………….

Viyog ratri ke andherey me meri aankhe luta

deti hain ashkon ke moti jab tum nahi hote…

For more poem by me: shashidhar-kumar

For more info: www.shashionline.in

Featured Post

Katihar - कटिहार

कटिहार अक्टूबर महीना म अस्तित्व म पचास साल पहले अइले छेलै, मतलब दु अक्टूबर के पचासवाँ स्थापना दिवस मनैलके। कटिहार र साहित्य, संस्कृति आरू इत...