Khubsoorat hain woh lub jo pyari batein kertey hain,
Khubsoorat hai woh muskurahat jo doosaron ke chehron per bhi muskaan saja de,
Khubsoorat hai woh dil jo kisi ke dard ko samjhey
jo kisi ke dard mein tadpey,
Khubsoorat hain woh jazbaat jo kisi ka ehsaas karein,
Khubsoorat hai woh ehsaas jo kisi ke dard ki dawa baney,
Khubsoorat hain woh baatein jo kisi ka dil na dukhaein,
Khubsoorat hain woh ankhein jin mein paakeezgi ho sharm o haya ho,
Khubsoorat hain woh aansoo jo kisi ke dard ko mehsoos kerke beh jaein,
Khubsoorat hain woh Haath jo kisi ko mushkil waqt mein thaam lein,
Khubsoorat hain woh qadam jo kisi ki madad ke liye aagey bedhein !!!!!
Khubsoorat hai woh soch jo kisi ke liye achcha sochey,
Khubsoorat hai woh insaan jis ko KHUDA ne yeh Khubsoorati ada ki......!!
For more poem by me: shashidhar-kumar
For more info: www.shashionline.in
Featured Post
Surendra Sharma and LallanTop
एक ऐसा एपिसोड जो हर बच्चे, जवान और बूढ़े को देखना चाहिए कैसे सुरेंद्र शर्मा जी इतने लोकप्रिय और हाज़िरजवाब है और क्यों है। इस एपिसोड में आप कई...
-
गणेश चतुर्थी भारत के प्रमुख त्योहारों में से एक है, जिसे बड़े धूमधाम और श्रद्धा के साथ मनाया जाता है। भगवान गणेश, जिन्हें 'विघ्नहर्ता...
-
Thank God! 18 th June, I become a dad of little angel. I was very happy on that time, before that I was in so much tension that I cannot tr...
-
गोपालदास ‘नीरज’: हिंदी और उर्दू शायरी गोपालदास सक्सेना ‘नीरज’ हिंदी साहित्य और शायरी के एक ऐसे विलक्षण रचनाकार थे जिन्होंने अपनी लेखनी से ह...