Wednesday 5 September 2007

Rooh Ka Rooh Se Rishta!

Badal si jati hoon main tere saye ko pane se

Haath badha ke mujhko paa lo ab teri hoon main,

Jab jab hawaon se meri saanson ko sahlatey ho tum

Mar jati tum kaise mujhe zinda paa lete ho,

Bahon mein jab bharte ho to zinda ho jati hoon

Saanse chalti hai meri phir tere haathon ke chhune se,

Par kuchh kahne se pahle hi lab ko lab see lete hai,

Khamoshi se jee lete hai kuchh lamhe teri bahon mein,

Nahi maloom kis ehsaas se chhu leti hoon tumhe,

Ek ehsaas ko bhujhane ek pyaas se chhoti hoon tumhe,

Tumhare seene par sar rakh kar sapne dekhti hoon,

Pyaar bhare khwaab ab aate hai inn ankhon mein bhi,

Jab dur jate ho mujhse itna hi kahti hoon,

Rooh ka Rooh se Rishta hai hum- tum

Tu hai anjaan iss se…….

For more poem by me: shashidhar-kumar

For more info: www.shashionline.in

Featured Post

Katihar - कटिहार

कटिहार अक्टूबर महीना म अस्तित्व म पचास साल पहले अइले छेलै, मतलब दु अक्टूबर के पचासवाँ स्थापना दिवस मनैलके। कटिहार र साहित्य, संस्कृति आरू इत...