Wednesday 5 September 2007

TANHAAI KA MANJAR!

Tanhaai ka manjar yeh yaad dilate hai

Mujhe kisi ka intezaar hai……………..

Ek chehra uthta hai nazar ke paimano par

Aur ek nasha de jaata hai…………………..

Lakh dilasa de loon is dil ko par ek khayaal

Dil ko chhu jata hai mujhe kisi ka intezaar hai

Jab jab gam ne mujhe gherna chaaha man ne

Dil ko dilaasa dilaaya……………………………..

Jhel ja yeh manjar bhi kyonki

Mujhe kisi ka intezaar hai…………………….

Raat ka ek khwaab dil mein tasveer chhod jata hai

Dil karta hai gahraiyon mein chhipa loon usko…

Par waqt use bhi chheen le jata hai ab to yehi aas hai ki

Shaayad kisi ko mera bhi intezaar hai……..

For more poem by me: shashidhar-kumar

For more info: www.shashionline.in

Featured Post

Katihar - कटिहार

कटिहार अक्टूबर महीना म अस्तित्व म पचास साल पहले अइले छेलै, मतलब दु अक्टूबर के पचासवाँ स्थापना दिवस मनैलके। कटिहार र साहित्य, संस्कृति आरू इत...